Thursday, July 23, 2009

Masiha Or Kaatil________________Baadal

Ek bhool thi jo tere humsafar hum ban baithe,
Masiha ban.na chahte the lakin kaatil hum ban baithe,

Chahat thi ki kabhi na door honge tere nazro se,
Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe,

Kajal ke terah sajaya tum ne humme aankho pe,
Nazro mai lakin kisi or ko basa baithe,

Fareb diye bahut tum ne hans hans ke pith piche,
Hum sab samaj ke bhi nasamaj ban baithe,

Kiya dunia ne ishara bhi dhoke ka bahut hum ko,
Sachai se lakin dunia ki hum nazren chura baithe,

Saya ban ke raha hamesha jis ki hifajat ko,
Wo khushi se sitara kisi or chaman ka ban baithe,

BAADAL rota raha, pukarta raha, rokta raha,
Lakin aashiyan pyaar ka humara wo jala baithe,

Kuch to kami thi mari sachi ibbadat mai,
Jo hum masiha ban ke bhi kaatil ban baithe,

Ek bhool thi jo tere humsafar hum ban baithe,
Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe.

Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe..............



Baadal

Saturday, July 18, 2009

Dekha Hai______________Baadal

Khushk aankho ko aaj rote hue dekha hai,
Apno ko gairo ka aangan sajate hue dekha hai,

Chale jaate hai muh fer ker anjaano ki tareh,
Aise dhokebaaz humsafar ko aaj maine dekha hai,

Phoolo se de jaate hai lakho jakhm ruh per,
Aisi gulabi rangat waale ko aaj maine dekha hai,

Kuchal ke har riste or jajbaat ko, hanste hai jo,
Aise haseen kaatil chehre ko aaj maine dekha hai,

Jin haatho se katel karte hai apno ka wo,
Unhe apne khuni haatho ko sajaate maine dekha hai,

Iss andhiyari dunia mai sajate hai jo sapna apno ka,
Unhe Apno ke haatho gard mai jaate maine dekha hai,

BAADAL to tanha tha hamesha raahe jindgee mai,
Use RAAHI ko dhundte aaj maine dekha hai,

KHUDA na dikhaye aisa manjar kisi or ko,
Aaj maine BHAGWAN ka mandir lut.te hue dekha hai,

Khushk aankho ko aaj rote hue dekha hai,
Aaj maine BHAGWAN ka mandir lut.te hue dekha hai..............



Baadal