Wednesday, October 13, 2010

Iss baar_______________Baadal

Iss baar to koi bahana tu mujhe de de,
Ae KHUDA abb to tu mujhe maut de de,

Na jannat or na hi sabr-e-ruh chahiye,
Bas apni aaogosh mai panaah tu mujhe de de,

Nazren karam ker mujh pe apni ae Aulia,
Saja aab mare gunaho ki mujhe tu de de,

Din raat jo jal rahi hai tukdo mai jindgi,
Iss sulagte sarir ko koi chanya tu de de,

Nahi manga kabhi tujh se kuch iss ke siwa,
Bas mari iss murad ki bhik mujhe de de,

ya to baksh de tu mujhe mera KHUDA,
Nahi to ae KHUDA abb to tu mujhe maut de de,

Nahi to ae KHUDA abb to tu mujhe maut de de.......


Baadal

Monday, September 20, 2010

iltaza______________Baadal

Hamari amanat ho aap khud ko jara sambhal ke rakho,
Mausam khusgawar hai lakin pahlu jara sambhal ke rakho,

Nazar lag jaati hai bahut jaldi iss jalim dunia ki,
Jara khud ko khud ki nazar se hi bacha ke rakho,

Nahi milta apno ka saya sab ko apni kismat mai,
KHUDA ke diye iss saye ko apna saya bana ke rakho,

Dunia chor deti hai har rista kismat se mayus hoke,
Chor saari dunai aap sirf riste ko apne bacha ke rakho,

Nameto se mila hai jo pyar aap ko apne humsaye ka,
Apne us pyar ko jara dil mai apne saja ke rakho,

Koi kuch kahe lakin iltaza bas ek aap se hai,
Tumehe KHUDA ki kasam apne yaar ko apni sanso mai basa ke rakho.........



Baadal

Sunday, September 19, 2010

Chahta tha mai________________Baadal

Kuch adhure geet tumhe suna.na chahta tha mai,
Tum se mil ke apna ahsas karana chahta tha mai,

Jin sapno ka wajood khatam ho gaya tumhare piche,
Un sab sapno ko jalte hue dikhana chahta tha mai,

Karte karte intzaar tumhara jo thak gaya hai,
Us ghar ki saanse tumhe suna.na chahta tha mai,

Hai bahut si yaade judi hui tumhari jis se,
Us jindgi se tumhe milwana chahta tha mai,

Tut chuka hai jo intahai pyar se bhara rista,
Us riste ki garmahat dikhana chahta tha mai,

Kaash ek baar tum aa jaate chor jhute naato ko,
KHUDA ki kasam KHUDAI se milwana chahta tha mai,

KHUDA ki kasam KHUDAI se milwana chahta tha mai..........



Baadal

Thursday, July 29, 2010

Kaise________________Baadal

Mar mite tu jis pe, wo baat mai kanha se laue,
Bhul jaaye tu din-dunia, wo naam mai kanha se laue,

Jogi jaisa roop mera, rajkumar kaise mai ban jaue,
Na ghar na dawar, tere liye mahal kanha se mai banaue,

Kutia choti bandh langoti, tere sapne kaise mai sajaue,
Tu mahlo ki rajkumari, tere kabil kaise mai ban paue,

Nahi hai kuch pass mare to kaise sab mai haar jaue,
Dila apne pyar ka bharosa kaise tujhe mai apnaue,

Dil ki baat to jaane sab, ruh ki baat kaise mai samjhaue,
Saari baat samjhu tari, sun mai tujhe ek paheli bataue,

Sakhe(branches) anek phool sirf ek, aisa pade(tree) mai tujhe aaj dikhaue,
Devta bhi mare jis jowan pe, aata us pe budhapa tujhe mai dikhaue,

Ye pahali jo tu bujhaye to baadal naam mai badal jaaue,
Chor sab baate, sirf dhuni tere naam ki hi rama mai jaaue.........



Baadal

Wednesday, July 28, 2010

बेमाता______________बादल

बेमाता के लिखे लेख समझ नही पा रहा हू मैं,
जितना रहना चाहता हू पास उतना दूर जा रहा हू मैं,

पल पल सिसकती जिंदगी से अब फरियाद करता हू मैं,
क्यो मिटा नही देती मुझे अब मारना चाहता हू मैं,

हर रात बहुत हसीन खवाब देख चुका हू मैं,
हर उस खवाब को अब टूट.ते हुए देख रहा हू मैं,

तड़प बेहिसाब सिने मे दफ़न किए हू मैं,
फिर भी उस काफ़िर मौत के इंतज़ार मे जिंदा हू मैं...

फिर भी उस काफ़िर मौत के इंतज़ार मे जिंदा हू मैं...
फिर भी उस काफ़िर मौत के इंतज़ार मे जिंदा हू मैं...


बेमाता > किस्मत को लिखने वाली देवी


बादल


Friday, June 18, 2010

Intiha______________Baadal

Lab khamosh to ankhe suni hone lagi hai,
Khubsurat thi jo jindgi aab gum hone lagi hai,
Sanse chalti thi jis riste ki ibadat se,
Wo saanse bhi aab madham hone lagi hai,

Rehta tha intzar raat hone ka sapno ke liye,
Wo har raat aab sayah kaali hone lagi hai,
Toot.ta hai har lamha ek sapne ki tareh,
Ab to sapne dekhne se bhi wahset hone lagi hai,

Fisal rahi hai riste ki har dor ret ki tareh,
Har su aab mari jindgi be-wafa hone lagi hai,
Jitna sambhal raha hu apne komal riste ko,
Pankhudi jaise us phool ki roz kam hone lagi hai,

Sukha hai jab se mere riste ka har gulshan,
KHUDA se mari doori bhi ab kam hone lagi hai,
Vilupat hota ja raha hai BAADAL ka astitve,
Jab se Intiha mare imtehaan ki hone lagi hai,

Toot.ta hai har lamha ek sapne ki tareh,
Jab se Intiha mare imtehaan ki hone lagi hai......




Baadal

Saturday, May 22, 2010

Khap Panchayat_______________Baadal

MANOJ AND BABLI
Who killed by the
khap panchayat of Haryana



Bahut ithlate hai bahut itrate hai,
Baith panchayat mai hukka gudgudate hai,
Pyar ka katel ker ye panchayti,
Khud ko bhagwan humara bata.te hai,

Pyar ko har dharam ne maana hai,
Bhagwan ka tohfa isse jaana hai,
Nahi kisi garanth mai iss ka nirader,
Bachpan se le ke aaj tak yahi jaana hai,

Aaj insan itna kyu badal gaya hai,
Pyar ko khatam kar sina kyu dikhata hai,
Suna ke apne nainsaani faisele,
Wo hindustanio ka sir kyo jhukata hai,

Jab bhi hum pe atankwadi hamla hua hai,
Bethak inhone kabhi nahi bulai hai,
Khud ko samaaj ke thekedaar batane walo,
Kyo desh ke liye maha-panchayat nahi bulayi hai,

Humare desh ka naam jab bhi aata hai,
Pyar ka saaya hamesha nazar aata hai,
Chalni ker diya lakin aab bharat mata ko,
Jab se ye talibaani farman samne aaya hai,

Kya mila do pyar karne walo ko maar ke,
Kon sa sakoon tum ne paaya hai,
Khatam ker do ye panchayto ki notanki,
Tum ne sirf hum ko hamesha bargalaya hai,

Nahi samajte to samjha diye jaoge,
Hume anpadho ko padhana aata hai,
Hum sabhey hai or padhe likhe hai,
Kurbaan hume pyar mai hona aache se aata hai,

Samaaj ko de ke aachi baate or samajh,
Apne paapo ka paraschit ab tumhe karna hai,
Chor ke ye nainsaani saari baate,
Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai,

Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai,
Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai................



Baadal

Friday, May 7, 2010

Dekha Hai_______________Baadal

Apno ko apno ke jajbaato se khelte dekha hai,
Jhut sun sun ke sach ka katl hote dekha hai,

Nahi farq padta unhe ki kya gujeregi kisi pe,
Unhe to bas humne armano ko kuchelte dekha hai,

Lamha lamha dur hone ka dard sata.ta rehta hai,
Us doori ka humne faida unhe uthate dekha hai,

Kar ke sitam fir khate hai apno ki jhuti kasam,
Un kasmo ko humne hamesha tut.te hue dekha hai,

Farebi nahi hai hum fir bhi kehlate hai farebi,
Farebi keh hume us ko humne haste hue dekha hai,

Sambhali apni har khushi us sachi ibadat ke liye,
Khushia baant.te humne unhe gairo ke saath dekha hai,

Baadal to le jaayega apna sab dard khud mai samet ke,
Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai,

Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai.......


Baadal

Thursday, April 8, 2010

Riste___________Baadal

Na jaane ye zindgi ya maut ka sarmaya hai,
Jo mujhe apno se itni door talak laya hai,

Na nafrato ka gum or na hi pyar ka bharam hai,
Sab ko bas khud ke liye hi jeete paya hai,

Safar-e-zindgi mai ajeeb paheli risto ki hoti hai,
Risto ki duhai de ke apno ko hi katal karte paya hai,

Baadal to pagal hai kuch der mai khud ko mita jayega,
Lakin inn jhute rasmo riwajo pe bahuto ko fanna hote paya hai,

Lakin inn jhute rasmo riwajo pe bahuto ko fanna hote paya hai.........


Baadal

Tuesday, March 23, 2010

Ek Baar________________Baadal

Ahsaas jindgi ka aab mai karna chahta hu ek baar,
Rub-ru uska didaar mai karna chahta hu ek baar,

Dekh ke unki wo reshmi lehrati julfo ko,
Atit apna yaad mai karna chahta hu ek baar,

Gehrai se dekh ke unki wo gehri masoom aankhe,
Ujale ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Chu ke unke us phool se chehre ko haatho se,
Aksh unka ruh mai utarna chahta hu ek baar,

Sunke unki khankhanati churio ki wo awaaz,
RAB ke har DAR ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Surkh jode mai dekh ke apne meharbaa ko,
Zinda hone ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Jayada nahi maang raha mai E-KHUDA tujh se,
Inayat ker do apni nazren karam mujh pe ek baar,

Do pal ka baksh do ye lamha BAADAL ke jiwan mai,
Fir sirf mai tera ho jaunga E-KHUDA aab ki baar,

Fir sirf mai tera ho jaunga E-KHUDA aab ki baar.........


Baadal

Tuesday, February 2, 2010

Nazar___________________Baadal

Jindgi jee rahu hu kisi apne ke liye,
Dua maut ki ker raha hu lakin apne liye,

vishakt ho gaya hai khoon ka aab har katra,
Amrit talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Bacha hai sirf patjhar ka mausam mare liye,
Bahaar talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Dhoop jiwan ki bahut garam ho chuki hai mare liye,
Sheetal chaao talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Kaanto se bhara hai har rasta ab mare jiwan ka,
Phool chun raha hu lakin kisi apne ke liye,

Angaaro sa garam hai ab mari mahobaat ka har imtihaan,
Chu ke angaaro ko mom kar raha hu lakin kisi apne ke liye,

Nigah nahi rahi mehrbaa us KHUDA ki chahe BAADAL ke liye,
Nazar khud ko kar raha hu KHUDA ko lakin kisi apne ke liye,

Mai rahu na rahu aab iss khak jamane mai,
Jiwan apna nisaar ker raha hu lakin kisi apne ke liye,

Chun chun ke har gulshan se khushian apne haatho se,
Arpan unhe kar raha hu lakin kisi apne ke liye,

Arpan unhe kar raha hu lakin kisi apne ke liye........



Baadal

Monday, January 4, 2010

Kuch Alfaz_____________Baadal

Chand ke kaabil khud ko na samaj,
Hum sitaron ke sehar mai aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum apne sapne sajane aa gaye,

Dekh ke itlata hua ek taara,
Hum us ke bahut kareeb aa gaye,

Baya kar dil ka haal apna,
Hum us ke sapne le ke aa gaye,

Roshan kiya ghar baar ko apne,
Hum us ki roshni le ke aa gaye,

Hue jo subeh to sab jhoot nikla,
Hum farabi se dhokha kha ke aa gaye,

Nahi thi koi roshni or na thi chamak,
Hum jis patther ko apna samaj ke aa gaye,

Suraj se hi tha jis ka wajood,
Hum kyo us se dil laga ke aa gaye,

Khel hai jis ke liye kisi ka jiwan,
Hum us ke liye khud ko luta ke aa gaye,

Suna.ne dil ka haal apna yaaro,
Hum aaj tumhare pass aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum aaj tumhare pass aa gaye..........



Baadal

Sunday, January 3, 2010

Imtihaan___________Baadal

Dukhte dil ko nochne kai insaan aa jaate hai,
Na chah.te hue bhi ye imtihaan jindgi mai aa jaate hai,

Koshish to bahut hoti hai iss raah se bach ke chalne ki,
Fir bhi na jaane aise mode kanha se jindgi mai aa jaate hai,

Rehna nahi chahta hai koi bhi naqaabo ke sehar mai,
Ye dhokebaaj fir bhi kyu jindgi mai aa jaate hai,

Nahi maayne hai wafa or ibadat ke jin ke liye,
Wo insaan kyo kisi ki jindgi mai aa jaate hai,

Karta hai jo sachai se pyar ki har kimat ada,
Fir kyo unhe tabah karne saitaan unki jindgi mai aa jaate hai,

Kabhi na khatam hone wali jo kahani hum likhte hai,
Us ka imtehaan lene nasukr insaan kyu jindgi mai aa jaate hai.......



Baadal