Friday, November 13, 2009

Yaar______________Baadal

Shaqe or wahem ke tufano se gujarta raha hu mai,
Apne hi yaar ke pairo tale kuchalta raha hu mai,

Kabhi kisi ke liye to kabhi majboorio ke liye,
Mare yaar ki yaari ke liye marta raha hu mai,

KHUDA ki inayat samaj jo jod baithe the us se naata,
Us naate ko marzi samaj KHUDA ki nibha raha hu mai,

Masoom chehra liye jo bante the humsafar humare,
Us chehre ko yaad karke hamesha rota raha hu mai,

Nahi bhula us ki har baat jo kha ke kasam wo kehte the,
Unhi kasmo ko yaad ker ker ke raato ko sota raha hu mai,

Tha kabhi roshan BAADAL ka naam us ke yaar se,
Usi naam ki sayahi ko ab mitata raha hu mai,

Apne hi yaar ke pairo tale kuchalta raha hu mai,
Us chehre ko yaad karke hamesha rota raha hu mai.........



Baadal

Wednesday, November 4, 2009

Mita Doonga___________________Baadal

Khud se to kya dunia se tera naam mita doonga,
Bijli ki pahcaan BAADAL se hai ye sab ko bata doonga,

Nahi reh jaayegi aab koi baat tere mare beech mai,
Jo gumaan hai tujhe khud pe wo sab mita doonga,

Chamak thi jo tere husn ki salamat abhi tak,
Bhula tujh ko dil se wo tari chamak mita doonga,

Nahi reh jaayega aab tera ye wajood itraane ka,
Mita ke khud ko wo bijli ka itraana bhula doonga,

Saath chaha tha apna Dunia ke wajood tak,
Lakin wajood dunia se bijli ka hi mita doonga,

Bahut jalaya hoga tum.ne dunia ke gharo ko,
Ghar ko tumhare lakin aaj main jala doonga,

Tadap raha hai aaj jaise BAADAL bebas ho ke,
Tari aankho se bhi khun ke aanshu nikaal doonga,

Rehmat pe jab tak yakeen hai us KHUDA ki mujhe,
Mai tere saanso se saanse bhi nikal doonga,

Bahaye hai jitne bhi aanshu tari bewafai ke badle,
Tere khun ki har boond se unhe mai poonch doonga,

Khud se to kya dunia se tera naam mita doonga,
Jo gumaan hai tujhe khud pe wo sab mita doonga............




Baadal

Monday, October 26, 2009

Aashiyan___________________Baadal

Ranjo-Gum se humara naath kuch aisa juda hai,
Jab se us KHUDA ki likhi kismat ko hum.ne paaya hai,

Paas hote hue sab kuch, sab kuch paaraya hai,
Samaj nahi aata aaj hum.ne kya khoya or kya paaya hai,

Gujaar di jin ke liye tamam kimti gharian umar ki,
Aaj unhi ke pass humare liye waqt ki kami ko paaya hai,

Dunia ki har rasmo or riwajo se wakif sab hai,
Lakin apni jindgi mai hum.ne inhe ulta hi paaya hai,

Jo apne the un ke pyar pe haqe tha humara,
Aur un apno ko hum.ne gairo pe mehrbaan hote hue paaya hai,

Nazaro ko fer lena to dastoor hai dunia ka,
Par apno ko to daaman churate hue hum.ne paaya hai,

Kabhi jo ponchte the humari aankho ke aanshu,
Unhe aaj gairo pe aanchal bhigote hue paaya hai,

Akele baith ke jab BAADAL poochta hai apna haal-e-dil,
To khushk aankho ko tut.te hue khawab dekhte paaya hai,

Fir bhi mai us KHUDA ki rehmat ka sukergujar hu,
Sada jis ke dar ka paak aashiyan hum.ne paaya hai,

Jab se us KHUDA ki likhi kismat ko hum.ne paaya hai,
Sada jis ke dar ka paak aashiyan hum.ne paaya hai.............



Baadal

Tuesday, October 13, 2009

Saanse_______________Baadal

Siskio ki jindgi, aab khatam kyo nahi ho jaati,
Bahut jalta raha hu, aab ye saanse band kyu nahi ho jaati,

Maut si bereham ghari jee raha hu har pal,
Khoon ki rawani fir kyu aab band nahi ho jaati,

Dekh chuka hu iss jhuti dunia ka har sach,
Fir kyu nahi ye dunia aab mujh se chut jaati,

Nahi bacha koi bhi ahsaas aab kisi baat ke liye,
Hontho ki ye kapkapahat fir band kyo nahi ho jaati,

Har baar karta hu us KHUDA se fariyaad,
Fir aaj mari ye dua kabool kyo nahi ho jaati,

Thak chuka hai BAADAL khud ko bhigote hue,
Aab Baadal ke liye bhi barsaat kyo nahi ho jaati,

Aaya tha jis ghadi main, mai iss matlabi dunia mai,
Fir kyo nahi Ae-KHUDA usi ghari main, mari mout ho jaati,

Fir kyo nahi Ae-KHUDA usi ghari main, mari mout ho jaati..........


Ghari means waqt,samay,pal,pahar....



Baadal

Tuesday, September 15, 2009

Gulshan__________________Baadal

Fareb karne walo se dil lagi ki nahi jaati,
Kaatil ki aankho se aankhe milaye nahi jaati,

Dil hota hai sirf dene ko sache dilbar ko,
Pyaar mai ae jaana jhuti kasme khaaye nahi jaati,

rukh pe rakhte hai jo naqab bholi surat ka,
Aise insaano ke saath jindgi bitaye nahi jaati,

Pyaar naam hai KHUDA ki sachi ibaadat ka,
Jhoot se rushwa kabhi khudai ki nahi jaati,

Viswas ke neev pe jo banta hai pyar ka ghar,
Us ghar ke deewaren kabhi giraye nahi jaati,

Bahut samaj ke uthte hai iss ibadat mai kadam,
Un kadmo ko kabhi chot pahunchai nahi jaati,

Bahut naajuk hota hai ye pyar ka rista,
Iss riste mai kabhi ganth daali nahi jaati,

Samajne ko baat hai ye jara se ae-yaar,
KHUDA ke bando ko kabhi chot pahunchai nahi jaati,

BAADAL aaj hai, kal na rahe sayad chaman mai,
Lakin pyar ke gulshan mai aag kabhi lagaye nahi jaati,

Lakin pyar ke gulshan mai aag kabhi lagaye nahi jaati..........



Baadal

Sunday, August 9, 2009

Deewana_______________Baadal

Aaj kuch logo ko khud pe haste hua paaya,
Kuch ko pagal to kuch ko mujhe deewana kahte hue paaya,

Sun ke un ke baat mai kuch seham sa gaya,
Andar na jaane kaisa ek dar sa maine paaya,

Dheemi se ek awaaj kaano mai yun padi,
Ek insaan ka iss se bura haal kabhi nahi paaya,

Kabhi jo rehta tha hamesha madmast apne mai,
Us insaan ko pyar ke jehar se marte hua paaya,

Koi kuch keh raha tha to koi kuch bata raha tha,
Kuch baato ko suni to kuch ko unsuni hui paaya,

Na jaane kyo cha ke bhi mai jawab nahi de pa raha tha,
Saayad khud ko maine bahut unsuljhe sawalo mai ghire hue paaya,

Fir koi keh raha tha ki iss ke kisi apne ko to bulao,
Juba pe sab ki fir kisi bewafa ka naam maine paaya,

Jitne muh the uthe hi sawal un ki jubaan pe the,
Lakin nazron ko apni maine kisi ka intzaar karte hue paaya,

Fir ek sard lehar jaisa ahsaas mujhe mehsoos hua,
Baadal ko fir maine sab jakhmo or dard se aazad paaya,

Aankhe khuli thi lakin koi ahsaas aab baaki na tha,
Sab ki nazron ko bas us insaan pe hi tike hue paaya,

Chehre sab ke mayusi se bhare hue the,
Ek bewafa ko lakin maine fir bhi haste hue paaya,

Ek bewafa ko lakin maine fir bhi haste hue paaya...........



Baadal

Thursday, July 23, 2009

Masiha Or Kaatil________________Baadal

Ek bhool thi jo tere humsafar hum ban baithe,
Masiha ban.na chahte the lakin kaatil hum ban baithe,

Chahat thi ki kabhi na door honge tere nazro se,
Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe,

Kajal ke terah sajaya tum ne humme aankho pe,
Nazro mai lakin kisi or ko basa baithe,

Fareb diye bahut tum ne hans hans ke pith piche,
Hum sab samaj ke bhi nasamaj ban baithe,

Kiya dunia ne ishara bhi dhoke ka bahut hum ko,
Sachai se lakin dunia ki hum nazren chura baithe,

Saya ban ke raha hamesha jis ki hifajat ko,
Wo khushi se sitara kisi or chaman ka ban baithe,

BAADAL rota raha, pukarta raha, rokta raha,
Lakin aashiyan pyaar ka humara wo jala baithe,

Kuch to kami thi mari sachi ibbadat mai,
Jo hum masiha ban ke bhi kaatil ban baithe,

Ek bhool thi jo tere humsafar hum ban baithe,
Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe.

Naam le ke juba pe humara wo kisi or ke ban baithe..............



Baadal