Monday, January 4, 2010

Kuch Alfaz_____________Baadal

Chand ke kaabil khud ko na samaj,
Hum sitaron ke sehar mai aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum apne sapne sajane aa gaye,

Dekh ke itlata hua ek taara,
Hum us ke bahut kareeb aa gaye,

Baya kar dil ka haal apna,
Hum us ke sapne le ke aa gaye,

Roshan kiya ghar baar ko apne,
Hum us ki roshni le ke aa gaye,

Hue jo subeh to sab jhoot nikla,
Hum farabi se dhokha kha ke aa gaye,

Nahi thi koi roshni or na thi chamak,
Hum jis patther ko apna samaj ke aa gaye,

Suraj se hi tha jis ka wajood,
Hum kyo us se dil laga ke aa gaye,

Khel hai jis ke liye kisi ka jiwan,
Hum us ke liye khud ko luta ke aa gaye,

Suna.ne dil ka haal apna yaaro,
Hum aaj tumhare pass aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum aaj tumhare pass aa gaye..........



Baadal

Sunday, January 3, 2010

Imtihaan___________Baadal

Dukhte dil ko nochne kai insaan aa jaate hai,
Na chah.te hue bhi ye imtihaan jindgi mai aa jaate hai,

Koshish to bahut hoti hai iss raah se bach ke chalne ki,
Fir bhi na jaane aise mode kanha se jindgi mai aa jaate hai,

Rehna nahi chahta hai koi bhi naqaabo ke sehar mai,
Ye dhokebaaj fir bhi kyu jindgi mai aa jaate hai,

Nahi maayne hai wafa or ibadat ke jin ke liye,
Wo insaan kyo kisi ki jindgi mai aa jaate hai,

Karta hai jo sachai se pyar ki har kimat ada,
Fir kyo unhe tabah karne saitaan unki jindgi mai aa jaate hai,

Kabhi na khatam hone wali jo kahani hum likhte hai,
Us ka imtehaan lene nasukr insaan kyu jindgi mai aa jaate hai.......



Baadal