Wednesday, December 31, 2008

Naam___________________Baadal

Ruk ruk ke mai hamesha chalta raha,
Har sehar mai apne kaatil ko dhundta raha,

Hua hai jab se nazron se ojhal wo,
Jaise her dua ko mai taresta raha,

Nahi raha jeewan mai kuch ek us ke siwa,
Jis naam ke sahare mai humesha chalta raha,

Na jaane kis bheed mai kho gaya wo,
Nazron mai jis ki pyar hamesha mai dekhta raha,

Kabhi manjoor na the ashq mari ankho mai,
Zalim na jaane wo tanha chor kanha jaata raha,

Sayad ibbadat mai us KHUDA ki koi kami the,
Jo umar bhar ka gum sine mai dafan ker gaya,

Har sehar mai apne kaatil ko dhundta raha,
Ruk ruk ke mai hamesha chalta raha..............


Baadal

Monday, December 29, 2008

Sapna________________Baadal

Sapna jo tha mera wo sapna hi reh gaya,
Katel ker ke wo apna, hum se begana ho gaya,

Nahi chaha tha kabhi ki wo door ho jaaye,
Lakin waqt mari kismat se daga ker gaya,

Dastoor jamane ke kuch aise the pyar ke,
Sapna jo tha sagar mai milne ka wo adhura reh gaya,

Tha jo sapna ek ghar or aangan ka mera,
Wo na jaane kanha dunia ki bheed mai kho gaya,
 
Bahut sanjoya or sambhala us sapne ko,
Sapna aakhir sapna tha jo tut hi gaya,

waqt mari kismat se daga ker gaya,
Katel ker ke wo apna, hum se begana ho gaya..........



Baadal

Ritu_______________Baadal

Ek ritu aati rahi ek ritu jaate rahi,
Tadapti jindgi humari yun hi gujarti rahi,

Badla jab bhi mausam fijao ka,
Har baar hawa jakhm or tazza karti rahi,

Nikalta raha waqt jhakmo ko bachate hue,
Aah humari yu hi sana.te mai nikalti rahi,

Chikh uthta tha kabhi kabhi andhere mai,
Jab bhi us biti hui ritu ki yaad aate rahi,

KHUDA aabad rakhe us katil ki zindgi,
Jis ki yaad mai har ritu hume jalati rahi,

Ek ritu aati rahi ek ritu jaate rahi,
Har baar hawa jakhm or tazza karti rahi,

Har baar hawa jakhm or tazza karti rahi..............



Baadal

Sunday, December 28, 2008

Humsafar_____________Baadal

Hausle khudi ke buland hum karte rahe,
Tanha safar hum yun hi apna kaat.te rahe,

Bahut paaya bahut khoya jindgi main apni,
Sirf ek sache humsafar ko hamesha talas.te rahe,

Dekhe bahut roop dunia main pyar ke,
Lakin nikla sab jhoot jise apna maan.te rahe,

Kisi ne roop se maara to kisi ne sachai dika ke,
har saksh mai lakin kaatil hi milte rahe,

Aab dil bhar gaya hai dunia ke jhoote roop se,
Alwida her ek baar hum dunia ko kehte rahe,

Tanha safar hum yun hi apna kaat.te rahe,
Sirf ek sache humsafar ko hamesha talas.te rahe..........


Baadal

Sunday, December 21, 2008

दस्तूर-ऐ-महोबत___________बादल

Dastoor-e-mahobat hume samaj nahi aaya,
Pyar bahut tha lakin raas nahi aaya,

Jaroori nahi ki har ranjha jaan de apni,
Yeh pyar har hir ko samaj nahi aaya,

Pyar naam hai ek sachi ibaadat ka,
Lakin isse nibhana har kisi ko nahi aaya,

Surat-e-yaar se andaja lagate rahe pyar ka,
Lakin kisi hir ko ranjhe ka dard samaj nahi aaya,

Dastoor-e-mahobat hume samaj nahi aaya,
kisi hir ko ranjhe ka dard samaj nahi aaya..............


Baadal

Naraj__________Baadal

Kuch iss rah pe aaj hum pahoonche hai,

Ki kuch dost hum se naraz baithe hai,

 

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,

Ki kya kya hum sah ke chup baithe hai,

 

Nahi the hum kabhi aise kisi ki nazar mai,

Lakin aaj hum khud mai gunehgaar bane baithe hai,

 

Bahut nibhaya saath jindgi mai yaaro ka,

Fir bhi laakh ilzaam hum liye baithe hai,

 

Luta dene ka jo jajba tha hamesha dil main,

Aaj us toofan ko sine mai dabaye baithe hai,

 

Kaise manauen or samjhaun yarro ko apne,

Jo hum se be-wajeh naraz hue baithe hai,

 

Kash padh late wo humari majboori chehre se,

Jise hum hansi ke piche chipaye baithe hai,

 

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,

Ki kuch dost hum se naraz baithe hai...........




Baadal

Tuesday, December 2, 2008

*Naraz_________Baadal

Bahut naraz hai hum dunia ke dastoor se,
Lakin kya kare bahut majboor hai khud se,

Dunia ko mera dosh dene se kya hoga,
Kamiyan door karni hogi mujhe khud se,

Nahi karenge aab yakee kisi begaane ka,
Aur na hi khelne denge apne jajbaat se,

Bahut ho chuka or bahut seh liya humne,
Aab khud ko uthana hoga khud ki nazar se,

Mar jaayenge lakin nahi lange us kaatil ka naam,
Sab kuch bhula denge us ka apne dil or dimag se,

Sab kuch bhula denge us ka apne dil or dimag se........... 



Baadal

*Intzaar_________Baadal

Ashq girte rahe aur hum chalte rahe,
Naam bas le ke us be-wafa ka hum jinda rahe,

Har ghadi man mai ek toofan samate rahe,
Fir bhi bach ke toofan se khud ko sambhalte rahe,

Samajte the jinda reh lange ek naam ke sahare,
Lakin ruh ko apni dheere dheere khatam karte rahe,

Na jaane kab hum ruksati ke taraf badh gaye,
Nahi aana tha use, fir bhi hum intzaar karte rahe,

Fir bhi hum intzaar karte rahe..............



Baadal

*Ruksat_________Baadal

Man ka bojh aab dard badhane kaga hai,
Bhula yaar ka chehra yaad aane laga hai,

Diya jo jakhm us ne reh reh ke baar baar,
Wo jakhm aab dobara taaza hone laga hai,

Jo dikhaya tha us ne mujhe barbaadi ka manjar,
Wo manjar aab mujhe fir yaad aane laga hai,

Kiya jo baar baar dunia ki nazaron mai rushwa,
Wo nazaren fir hum pe uthane lagi hai,

Chupaya bahut khud ko ujale se hum ne,
Wahi ujala aab hume nazar aane laga hai,

Ek baar to sab seh ke chup ho gaye the,
Aab to lakin dunia se ruksat hone ka waqt aa gaya hai,

Aab to lakin dunia se ruksat hone ka waqt aa gaya hai..........




Baadal