Sunday, December 21, 2008

Naraj__________Baadal

Kuch iss rah pe aaj hum pahoonche hai,

Ki kuch dost hum se naraz baithe hai,

 

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,

Ki kya kya hum sah ke chup baithe hai,

 

Nahi the hum kabhi aise kisi ki nazar mai,

Lakin aaj hum khud mai gunehgaar bane baithe hai,

 

Bahut nibhaya saath jindgi mai yaaro ka,

Fir bhi laakh ilzaam hum liye baithe hai,

 

Luta dene ka jo jajba tha hamesha dil main,

Aaj us toofan ko sine mai dabaye baithe hai,

 

Kaise manauen or samjhaun yarro ko apne,

Jo hum se be-wajeh naraz hue baithe hai,

 

Kash padh late wo humari majboori chehre se,

Jise hum hansi ke piche chipaye baithe hai,

 

Kaise batauen unhe dastaan jindgi ki,

Ki kuch dost hum se naraz baithe hai...........




Baadal

Post a Comment