Wednesday, January 28, 2009

Bhula Na Paoge___________________Baadal

Mat jao door itna ke hume bhula na paoge,
Laut ke aana hoga jab tadap mita nahi paoge,

Rag rag main bas chuke hai tumhari ab hum,
Apni rago se humara pyar mita nahi paoge,

Lakh koshish karo bhulane aur naam mitane ki,
Sine pe hai jo nisaa pyar ke use kaise mita paoge,

Jubba khamosh hai lakin ankho ko kaise churaoge, 
Wo bayaa ker rahi hai sab unhe kaise jhuka paoge,

Mat satao khud ko itna hum se door ho ke,
Hum ko gale lagane ko khud ko kaise rok paoge,

Laut aao, maan jao humari ye iltiza hai tumse,
Khud ko Baadal bagair Bijli kaise naam de paoge,

Khud ko Baadal bagair Bijli kaise naam de paoge..........




Baadal

Friday, January 23, 2009

Bhagwan kyu badla_____________Baadal

Jin se thi mari jindgi kabhi,
Wo dua aaj mari maut ke karte hai,

Saya tha kabhi mare pyar ka jin pe,
Aaj anchal unka kisi aur pe kyu hai,

Nahi socha jis ke bina kabhi,
Un ke mann mai aaj Baadal kyu nahi hai,

Khata to nahi ki maine kabhi,
Fir us ka bhagwan kyu badla hai,

Roshan tha chehre ka noor kabhi,
Gairo ka noor wo aaj kyu hai,

Baanho main jhulaya tha jis ko kabhi,
Us ke haath begane ke haath main kyu hai,

Sajaya tha jo maathe pe sindur kabhi,
Wo sindur aaj paraya kyu hai,

Sunte the kaan khan-khan kabhi,
Khankhanahat wo aaj door kyu hai,

Nahi socha tha jo jeewan main,
Wo humdam aaj paraya kyo hai,


Nahi jinda tha us ke baigair kabhi,
Aaj fir mera jism begair uske jinda kyu hai,

Aaj fir mera jism begair uske jinda kyu hai...........



Baadal

Monday, January 19, 2009

Aaj Fir________________Baadal

Mil ke aaj barso baad un se aisa laga,
Jaise koi apna nahi ek ajnabi se main mila,

Chehre pe na koi khushi thi or na hi koi gum,
Na koi phool or na hi koi khat aaj mila,

Sirf kuch baate suni ansuni se kahi unhone,
Na lage gale or na hi koi haunsala mila,

Chup chap dikhaye jakhm ke nissan jism ke,
Lakin ruh pe uski koi jakhm hume nahi mila,

Kuch hichkichahat kuch sehma hua wo dikha,
Wo hasna wo muskurana wo ruthna kuch nahi mila,

Sunai bas kuch majboorion ki daastan hume,
Na wo pyar na wo tapis na hi kuch aur hi mila,

Ho gaye wo ruksat kuch jhoote wade ker ke,
Aaj fir Baadal ko intzaar ke siwa kuch nahi mila,

Aaj fir Baadal ko intzaar ke siwa kuch nahi mila...........



Baadal

Friday, January 16, 2009

Chokhat_____________Baadal

Nam aankhe liye tere chokhat pe baitha raha,
Ek tu hai jis se ye bhi dekha na gaya,

Dutkaar diya mujhe wanha se bhi tune,
Jis ki chokhat pe sir hamesha jhuka raha,

Nahi thi umeed tujh se tari iss berukhi ki,
Na jaane kyu fir bhi tari tasveer sine se lagaye raha,

Chum liye kadam jab jab wo uthe mari taref,
Apni har saans ko naam sirf tera deta raha,

Chalta raha tare sahare tufano main bhi,
Fir kyo aaj tera haath main talasta raha,

Aadat nahi hai mujhe kisi aur chokhat ki,
Fir kyo mujhe tanha chor tu jaata raha,

Fir kyo mujhe tanha chor tu jaata raha............



Baadal

Thursday, January 15, 2009

Antim Safar______________Baadal

Tujh se nahi khud se naraz hu main,
Apna na samaj bahut paraya hu main,

Jo khud ko na samaj paaya kabhi,
Wo anjaan diwana baadal hu main,

Na ker bhool apna.ne ki mujhe tu,
Raakh mai daabi chingaari hu main,

Kabhi tha ek sapna main kisi ka,
Ab sirf tuta bikhra jahaj hu main,

Nahi safar ker paoge hum sang jiwan ka,
Ki aab antim safar ki tayari mai hu main,

Ki aab antim safar ki tayari mai hu main............




Baadal

Sunday, January 4, 2009

Maut aur zindgi________________Baadal

Berukhi pa ke tari, khud se dushmani ki hai,
Rago mai jaise zehar ki bund uttar aaye hai,

Tadap raha hu us din se zindgi ke liye,
Jis pal se tari surat aankho se uttar di hai,

Kasoor nahi tha tumhara yun chale jaana,
Maine hi khud apni kasti duboye hai,

Khud ka aks nazar aata hai aab bhi tari ranho mai,
Na jaane kyu yeh lakiren tujh se milayen hai,

Dua de de ya zehar de de mujhe aab tu,
Mare khudaya ye faisla aab tujh pe hai,

Gunehgaar ban ke yun dikha na berukhi,
Baat aab maut aur zindgi pe ban aaye hai,

Baat aab maut aur zindgi pe ban aaye hai...............

Baadal

Zindagi__________________Baadal

Zindagi ki umer itni chotti kyun hai,
Kabhi gum to kabhi anshu hote kyun hai,

Bahut samjhaya khud ko ki akele chalo,
Lakin zindgi ka safar tanha kyun hai,

Saath manga jab bhi kisi ka rah-e-zindgi mai,
Har su bas dhokhe hi dhokhe kyun hai,

Kabhi dekha tha sapna ek humsafer ka,
Lakin zindgi ko tanhaai manjur kyun hai,

Har sapna toota baar baar badalti ritu ke saath,
Yunh maut ne zindgi ko dhokha diya kyun hai,

Zindgi ke saath yu hi mari aajmaish hoti hai,
Kabhi kaante to kabhi jakhm hote kyun hai,

Kabhi kaante to kabhi jakhm hote kyun hai................




Baadal

Friday, January 2, 2009

गीत________________ बादल

बहुत कुछ है मन मे आज मेरे,
लेकिन फिर भी बहुत चुप चाप सा मै हु,

जाने की उमर तो नही है मेरी,
फ़िर भी ना जाने आज मरने का मन सा क्यों है,

बहुत जी लिया बहुत सह लिया मैंने,
जाने अब क्यों जीने की इच्छा नही है,

साथ जितना भी था अपनों का पा लिया मैंने,
कुछ अब खोने का डर सा नही है,

बहुत ढूँढ लिया बिजली को जीवन में मैंने,
ना जाने अब उसे पाने का इंतज़ार क्यो नही है,

क्या पाया क्या खोया इस जीवन में,
अब किसी पाप और पुनये का भय नही है,

हो सकता है ये आखरी गीत हो मेरा,
गुनगुनाने का अब कोई अर्थ नही है,

बहुत कुछ है मन मे आज मेरे,
जाने अब क्यों जीने की इच्छा नही है........... 


 बादल