Friday, February 27, 2009

Samjha Na Saka_______________Baadal

Risto ki ahmiyat use samjha na saka,
Dil main us ke khud ko basa na saka,

Thi bahut se kamiyan sayad riste main,
Jo PYAR sabd ke maayne use samjha na saka,

Kabhi chup reha to kabhi bolta raha,
Lakin ishq sacha us se mai pa na saka,

Kabhi laga wo bahut kareeb hai mare,
Jeewan mai magar use kabhi la na saka,

Samjha kiye hamesha khud ko uski parchai,
Saath us ke lakin khud ko khada ker na saka,

Jis sachi ibadat se kiya pyar humne,
Wo pyar un se kabhi mai pa na saka,

Aaj door hai wo nigahon se kisi or ke saath,
Khud ko lakin un ke aankho mai basa na saka,

Thi bahut se kamiyan sayad riste main,
Jo dil main us ke khud ko basa na saka,

Jo dil main us ke khud ko basa na saka.............



Baadal

Wednesday, February 25, 2009

Gunah-e-ajeem______________Baadal

Gunah-e-ajeem wo log karte hai,
Jo dhokha apne pyar ko dete hai,

Naam late hai har su apne pyar ka,
Aur dil main gageh kisi or ko dete hai,

Khudaya dekh raha hai iss paap ko,
Na jaane fir wo ye sitam kyu karte hai,

Hansi se bitane ki khatir apni jindgi,
Kyo lahu wo kisi begunah ka pite hai,

Laga ke iljaam wo apne sache ishq pe,
Kyo apne pyar ko wo ruswa karte hai,

Khamosh ker ke wo dilbar ki jubaa,
Kyo sapne kisi or ke saath sajate hai,

Katel ker ker ke chad gaye aasma pe,
Wo kyu naam pyar ka badnaam karte hai,

Karna hai jab yahi sab khushi paane ko,
To kyo sir apna kandhe pe rakhte hai,

Dikha ke do ashq jajbaat ke hamesha,
Wo sine ko kyo chalni ker jaate hai,

Khel ke ye khuni khel jajbaato ka,
Kyo log
RUB ki jhuti kasme khate hai,

Khudaya maaf na kare kabhi un pyaar walo ko,
Jo pyar main us
KHUDA ki jhuti kasme khate hai,

Sare mehfil ker ke ruswa apne dilbar ko,
Jo gairo ke sang khushiya saari manate hai,

Gunah-e-ajeem wo log karte hai,
Jo pyar main us
KHUDA ki jhuti kasme khate hai,


Jo pyar main us
KHUDA ki jhuti kasme khate hai..........



Baadal

Sunday, February 15, 2009

Badnaam______________Baadal

Agar hai tare dil main aag ka toofa,
To ho jaane de dushman aaj ye jahaan,

Chahta hai jo tu wo ker ke hi dam lena,
Saaya hamesha hoga us KHUDA ka tare saath,

Aashirwad diya tha jis ne tare pyar ko,
Mat kar tu us assem taakat ko badnaam,

Aajmaish ho rahe hai sirf tari raah ki,
Badal de kismat or jod le us se apna naam,

Nahi raha hai koi kisi se door hoke,
To tu kyo khud ko akele hai jala raha,
 
Kar ke ruswa khud ko or us Chokhat ko,
Na le us Khudaya ka tu aab or imtehaan,

Luta de khud ko tu apne us sache pyar pe,
Jab wo KHUDA hai tere pyaar pe meharbaan,

Takraa ja jaalim dunia se us RUB ke sadke,
Jeet tari hogi na tu ho yu itna pareshaan,

Uthe hai dua mai tere saath aaj sab ke haath,
Mat rah akela tu ho ja apne pyar ke saath,

Badal de kismat or jod le us se apna naam,
Mat kar tu us assem taakat ko badnaam,

Mat kar tu us assem taakat ko badnaam..........



Baadal

Saturday, February 14, 2009

Mari Kismat_________________Baadal

Aaj tod chale hai hum rasmme saare,
Tod diye hai sab bemani dastoor,

Khafa na hona yarro tum mujhse,
Sayad yahi tha mari kismat ko manjoor,

Nahi bacha paaya khud ko kisi ke liye,
Pyar karne ka kiya tha sirf kasoor,

Raakh ban chuka hu aab to jal jal ke,
Nahi hai aab mujh se wo khudaya door,

Panah sayad mil jaaye wanha ja ke,
Ya mil jaaye thora sa ruh ko mari sakoon,

Saja jo chahe de lena yarro mujh ko,
Ker liya jo maine pyar karne ka kasoor,

Sayad aur na likh pauen tumhare liye,
Jaana hai aab mujhe sab se bahut door,

Kisso main jaroor basana Baadal or Bijli ko,
Yaad ker ke rona tumhara nahi hoga mujhe manjoor,

Samaj lena yaad tumhe Baadal karta hai,
Hawao ka nam hona jab bhi karoge mahsoos, 

Raakh ban chuka hu aab to jal jal ke,
Sayad yahi tha mari kismat ko manjoor......


Baadal

Ashqo ki kimat_______________Baadal

Mare ashqo ki kimat agar samjhi hoti,
To tum aaj dil ke bahut kareeb hoti,

Nahi aa paata koi bhi darmiya humare,
Jo dil se kabhi humari aah suni hoti,

Chahat koi baaki na rahti pyar main,
Gar pyar ki tapis mari aankho mai dekhi hoti,

Nahi reh paate the jo humese banake doori,
Kaash us ne ruki hue aaj mari saanse dekhi hoti,

Bana ke apna jo diya tha ek sunder sapna,
Taabir kaash us sapne ke poori ki hoti,

Jhutlake har baat kaash nibhate har wada,
Dekhne haal mera wo aaj aayi to hoti,

Na rehte tanha wo bhi or hum bhi yarro,
Mare ashqo ki kimat agar samjhi hoti,

Mare ashqo ki kimat agar samjhi hoti..............



Baadal

Tuesday, February 3, 2009

Kaatil Ka Yakee_________________Baadal

Na jaane kis raah pe mai ja raha hu,
Chahta hu jise,kyo us se door ja raha hu,

Bahut milenge humsafar jindgee main,
Fir bhi kyo mai use bhula nahi pa raha hu,

Rasta ek hai mera or us kaatil ka lakin,
Kyo mai us ke saath nahi chal pa raha hu,

Wafa bahut hai dono main humare pyar ki,
Fir kyo mai us ka yakee nahi ker pa raha hu,

Tanha rahunga mai ta-umar us ke bina,
Tanhai ko fir mai kyo door nahi ker raha hu,

Jab chahte hai saath saath chalna hum dono,
Fir kyo apna rasta mai alag bana raha hu,

Bahut yakeen hai na dekhe hue RUB ke upper,
Mai fir kyo apne kaatil ka yakee nahi ker pa raha hu,

Mai fir kyo apne kaatil ka yakee nahi ker pa raha hu..........



Baadal