Khushk aankho se sapne aab dekhe nahi jaate,
Tere diye aanshu aab aankho se ponche nahi jaate,
Udd rahi hai dhul tere ilzaamo ki aandhi se,
Na jaane kyu ye kaale baadal aab hataye nahi jaate,
Bahut baras chuka hai pyar ka saawan jeewan mai,
Ab ye ilzaamo ke phool tham kyo nahi jaate,
Rag rag se jaise khoon chus raha hai koi,
Mile hue har ghave aab sukh kyo nahi jaate,
Har teer jhut or dhokhe ka chala mare sine pe,
Ye julmo sitam aab tham kyo nahi jaate,
Jhuka ke sir baithe hai khud ko khud se chipa ke,
Ye chaand or taare aab chip kyo nahi jaate,
Bahut andhari hai ilzaamo ki ye kaali raat,
Jillat ki iss jindgi se hume nijad kyo nahi dila jaate,
Thak chuka hu aab iss baemaani dunia se,
Ye riste kyo mujhe gard mai dafan nahi kar jaate,
Ye riste kyo mujhe gard mai dafan nahi kar jaate..........
Baadal