Chal diya RAAHI chor humme anjaan sehar mai,
Na raha ab kuch baaki us riste ki ruh mai,
Tapti hai jammi to sukha hai saara aashma,
Nahi ab hai roshni us pyar ke mandir mai,
Kabhi sajta tha har sapna taaro ki tareh,
Virania chai hai lakin ab saare aashma mai,
Har insaan dekhta hai jaise kaatil hu mai,
Sahi bhi hai kyoki gunehgaar nahi hu mai,
Karke sachi ibbadat bhi jhuta hu nazron mai,
Gunehgaar saja ke khud ko baithe hai mehfil mai,
Jhut ke iss sehar nai na jaane kitno ko maara hai,
Sach ki lash dekh aaya hu har gali or kunche mai,
Nahi diya koi dhoka fir bhi dhokebaaj hu mai,
Apne khuda ki nazaron mai aaj gunehgaar hu mai,
Saja de dete koi bhi jo unhe pasand hoti,
Lakin yun tanha nahi reh sakta hu mai,
Saath na chalta RAAHI humare beshak,
Lakin begano ke saath nahi reh sakta hu mai,
Na chorte yun mujhe anjaan sehar mai,
Ke aab khud apni lash liye ghum raha hu mai,
Ke aab khud apni lash liye ghum raha hu mai..........
Baadal
Post a Comment