Saturday, May 22, 2010

Khap Panchayat_______________Baadal

MANOJ AND BABLI
Who killed by the
khap panchayat of Haryana



Bahut ithlate hai bahut itrate hai,
Baith panchayat mai hukka gudgudate hai,
Pyar ka katel ker ye panchayti,
Khud ko bhagwan humara bata.te hai,

Pyar ko har dharam ne maana hai,
Bhagwan ka tohfa isse jaana hai,
Nahi kisi garanth mai iss ka nirader,
Bachpan se le ke aaj tak yahi jaana hai,

Aaj insan itna kyu badal gaya hai,
Pyar ko khatam kar sina kyu dikhata hai,
Suna ke apne nainsaani faisele,
Wo hindustanio ka sir kyo jhukata hai,

Jab bhi hum pe atankwadi hamla hua hai,
Bethak inhone kabhi nahi bulai hai,
Khud ko samaaj ke thekedaar batane walo,
Kyo desh ke liye maha-panchayat nahi bulayi hai,

Humare desh ka naam jab bhi aata hai,
Pyar ka saaya hamesha nazar aata hai,
Chalni ker diya lakin aab bharat mata ko,
Jab se ye talibaani farman samne aaya hai,

Kya mila do pyar karne walo ko maar ke,
Kon sa sakoon tum ne paaya hai,
Khatam ker do ye panchayto ki notanki,
Tum ne sirf hum ko hamesha bargalaya hai,

Nahi samajte to samjha diye jaoge,
Hume anpadho ko padhana aata hai,
Hum sabhey hai or padhe likhe hai,
Kurbaan hume pyar mai hona aache se aata hai,

Samaaj ko de ke aachi baate or samajh,
Apne paapo ka paraschit ab tumhe karna hai,
Chor ke ye nainsaani saari baate,
Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai,

Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai,
Sir apna tumhe pyar ke aage jhukana hai................



Baadal

Friday, May 7, 2010

Dekha Hai_______________Baadal

Apno ko apno ke jajbaato se khelte dekha hai,
Jhut sun sun ke sach ka katl hote dekha hai,

Nahi farq padta unhe ki kya gujeregi kisi pe,
Unhe to bas humne armano ko kuchelte dekha hai,

Lamha lamha dur hone ka dard sata.ta rehta hai,
Us doori ka humne faida unhe uthate dekha hai,

Kar ke sitam fir khate hai apno ki jhuti kasam,
Un kasmo ko humne hamesha tut.te hue dekha hai,

Farebi nahi hai hum fir bhi kehlate hai farebi,
Farebi keh hume us ko humne haste hue dekha hai,

Sambhali apni har khushi us sachi ibadat ke liye,
Khushia baant.te humne unhe gairo ke saath dekha hai,

Baadal to le jaayega apna sab dard khud mai samet ke,
Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai,

Lakin iss dard mai humne bahuto ko jalte dekha hai.......


Baadal

Thursday, April 8, 2010

Riste___________Baadal

Na jaane ye zindgi ya maut ka sarmaya hai,
Jo mujhe apno se itni door talak laya hai,

Na nafrato ka gum or na hi pyar ka bharam hai,
Sab ko bas khud ke liye hi jeete paya hai,

Safar-e-zindgi mai ajeeb paheli risto ki hoti hai,
Risto ki duhai de ke apno ko hi katal karte paya hai,

Baadal to pagal hai kuch der mai khud ko mita jayega,
Lakin inn jhute rasmo riwajo pe bahuto ko fanna hote paya hai,

Lakin inn jhute rasmo riwajo pe bahuto ko fanna hote paya hai.........


Baadal

Tuesday, March 23, 2010

Ek Baar________________Baadal

Ahsaas jindgi ka aab mai karna chahta hu ek baar,
Rub-ru uska didaar mai karna chahta hu ek baar,

Dekh ke unki wo reshmi lehrati julfo ko,
Atit apna yaad mai karna chahta hu ek baar,

Gehrai se dekh ke unki wo gehri masoom aankhe,
Ujale ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Chu ke unke us phool se chehre ko haatho se,
Aksh unka ruh mai utarna chahta hu ek baar,

Sunke unki khankhanati churio ki wo awaaz,
RAB ke har DAR ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Surkh jode mai dekh ke apne meharbaa ko,
Zinda hone ka ahsaas mai karna chahta hu ek baar,

Jayada nahi maang raha mai E-KHUDA tujh se,
Inayat ker do apni nazren karam mujh pe ek baar,

Do pal ka baksh do ye lamha BAADAL ke jiwan mai,
Fir sirf mai tera ho jaunga E-KHUDA aab ki baar,

Fir sirf mai tera ho jaunga E-KHUDA aab ki baar.........


Baadal

Tuesday, February 2, 2010

Nazar___________________Baadal

Jindgi jee rahu hu kisi apne ke liye,
Dua maut ki ker raha hu lakin apne liye,

vishakt ho gaya hai khoon ka aab har katra,
Amrit talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Bacha hai sirf patjhar ka mausam mare liye,
Bahaar talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Dhoop jiwan ki bahut garam ho chuki hai mare liye,
Sheetal chaao talash raha hu lakin kisi apne ke liye,

Kaanto se bhara hai har rasta ab mare jiwan ka,
Phool chun raha hu lakin kisi apne ke liye,

Angaaro sa garam hai ab mari mahobaat ka har imtihaan,
Chu ke angaaro ko mom kar raha hu lakin kisi apne ke liye,

Nigah nahi rahi mehrbaa us KHUDA ki chahe BAADAL ke liye,
Nazar khud ko kar raha hu KHUDA ko lakin kisi apne ke liye,

Mai rahu na rahu aab iss khak jamane mai,
Jiwan apna nisaar ker raha hu lakin kisi apne ke liye,

Chun chun ke har gulshan se khushian apne haatho se,
Arpan unhe kar raha hu lakin kisi apne ke liye,

Arpan unhe kar raha hu lakin kisi apne ke liye........



Baadal

Monday, January 4, 2010

Kuch Alfaz_____________Baadal

Chand ke kaabil khud ko na samaj,
Hum sitaron ke sehar mai aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum apne sapne sajane aa gaye,

Dekh ke itlata hua ek taara,
Hum us ke bahut kareeb aa gaye,

Baya kar dil ka haal apna,
Hum us ke sapne le ke aa gaye,

Roshan kiya ghar baar ko apne,
Hum us ki roshni le ke aa gaye,

Hue jo subeh to sab jhoot nikla,
Hum farabi se dhokha kha ke aa gaye,

Nahi thi koi roshni or na thi chamak,
Hum jis patther ko apna samaj ke aa gaye,

Suraj se hi tha jis ka wajood,
Hum kyo us se dil laga ke aa gaye,

Khel hai jis ke liye kisi ka jiwan,
Hum us ke liye khud ko luta ke aa gaye,

Suna.ne dil ka haal apna yaaro,
Hum aaj tumhare pass aa gaye,

Kuch alfaz liye juba pe apni,
Hum aaj tumhare pass aa gaye..........



Baadal

Sunday, January 3, 2010

Imtihaan___________Baadal

Dukhte dil ko nochne kai insaan aa jaate hai,
Na chah.te hue bhi ye imtihaan jindgi mai aa jaate hai,

Koshish to bahut hoti hai iss raah se bach ke chalne ki,
Fir bhi na jaane aise mode kanha se jindgi mai aa jaate hai,

Rehna nahi chahta hai koi bhi naqaabo ke sehar mai,
Ye dhokebaaj fir bhi kyu jindgi mai aa jaate hai,

Nahi maayne hai wafa or ibadat ke jin ke liye,
Wo insaan kyo kisi ki jindgi mai aa jaate hai,

Karta hai jo sachai se pyar ki har kimat ada,
Fir kyo unhe tabah karne saitaan unki jindgi mai aa jaate hai,

Kabhi na khatam hone wali jo kahani hum likhte hai,
Us ka imtehaan lene nasukr insaan kyu jindgi mai aa jaate hai.......



Baadal