Friday, November 21, 2008
***DOORI***
Doori wo humse roj badathe rahe,
Paas aane ki jitni bhi ki koshish,
Wo humse utna hi door jaate rahe,
Nahi bataya kabhi kisi majboori ko,
Sirf chup rahne ka wasta wo dete rahe,
Kiya tha jis ne wada jindgi ke safar ka,
Wo alag hi apna janha basane ki sochte rahe,
Nahi socha kabhi humare baare mai kaatil ne,
Humare khun se wo sirf apni neeve sinchte rahe,
Humare khun se wo sirf apni neeve sinchte rahe........
Baadal
Hakikat
Fir dekh ke kuch akelapan wanhi baith gaye hum,
Thori hi der mai kuch bacche nazar aaye,
Intzaar wo kisi ka karte nazar hume aaye,
Bechaine thi un ki ankho mai besumaar,
Aur labo pe gaali bhi thi un ke lagataar,
Fir ek chota sa ladka wanha aaya,
Maila sa ek thaila kandhe pe laaya,
Aankho mai the us ke aanshu bahut,
Fir kamai na hone ki baat pe bahut jhalaaya,
Dane lage wo sabhi fir use santwana,
Fir baato baato main un ka chehra muskuraya,
Dur se aate hue ek ladka mujhe bhi dikha,
Sayad us ke haatho mai kuch tha aisa mujhe laga,
Jaise hi wo pass aaya sabne poocha late kanha hua,
Bagair bole wo jo laaya tha use kholne laga,
Ye dekh sab apne haath kapdo se pochne lage,
Aur utsuktawas us khulti polithin ko dekhne lage,
Us se nikle kuch rotian or kuch sabji,
Fir jaldi hi wo sab main batne lagi,
Kisi ko aadhi to kisi ko poori roti mili,
Lakin ye hakikat hai bhook kisi ki na miti,
Ye dekh mera man bahut bhar aaya,
Fir socha yeh mera desh hume kanha le aaya,
Sapno mai jeene or khelne ki hai jin ki ummar,
Chin ke un ka bachpan de di kon se dagaar,
Sochte hue mai or bechain ho gaya,
Gaya tha thora chain paane ke liye,
Baadal to apni ruh ko bhi lahu luhaan ker aaya,
Baadal to apni ruh ko bhi lahu luhaan ker aaya................
Baadal
For me
Lakin tu nidar ho ke chal,
Sachai la sirf apne labo pe,
Aur dil ki baat khul ke likh......
Baadal
Laila
Sab jhoot hai koi sacha nahi dekha hai,
Jo sach tha wo itihaas ban chuke hai,
Aaj laila ko gairo ka humsafar bante dekha hai....
Baadal
Tuesday, November 18, 2008
Ghav****
Ghav khud ke sine mai banate rahe,
Hum rote rahe us ke intzaar mai,
Aur wo gairo ki banho mai sote rahe,
Aur wo gairo ki banho mai sote rahe....................
Baadal
*_*Hawale Ker Diya Maut Ke*_*
Chal diya mai muh maud ke,
Na rakha kuch bhi apne pass,
Khudko hawale ker diya maut ke,
Sajaya tha jin khato ko lahu se,
Bana diya rakh, aaj khud jala ke,
Jin haatho ne kalam di thi hume,
Wo tod di, aaj khud ke hatho se,
Karke aitbaar ankh rakhi hamesha nam,
Sahe har sitam, sirf un ke naam se,
Mile jab hume wo ajnabi ke banho mai,
Tuta har khawab, jise joda tha dil se,
Nahi reh paayenge hum aleke tanha,
Issliye khud ko duboya khud ke lahu se,
Laga ke khud ke ghar ko aag,
Khudko hawale ker diya maut ke...............
Baadal
Thursday, November 13, 2008
%%% Bekarar%%%
Dil aaj fir bekarar hua jaata hai,
Tumhe gale lagane ko betaab hua jaata hai,
Jaise hi chu.ti hai badalte mausam ki thandak,
Tumhara wo hum se lipat jaana yaad aata hai,
Garam saanse wo tumhari jab chu.ti the galo ko,
Fir wo dhire se kaano main gunguna.na yaad aata hai,
Laga ke kaajal aankho main, aaine ko dekhna,
Fir dhire se palkhe jhookana yaad aata hai,
Laut aao jaldi aur dikha do surat-e-yaar,
Aab ye sine ka tufan roka nahi jaata hai,
Aab ye sine ka tufan roka nahi jaata hai...........
Baadal
%%%Garib%%%
Toofan sine ka mai shaant karu kaise,
Suni suni aankho main naami laue mai kaise,
Chah.ta to tha mai bhi ki akela na rahu,
Lakin us kaatil ko apni zindgi mai laue kaise,
Zehar ban gaya hai aab to us ka naam mare liye,
Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise,
Wakif hu main dunia ke riti-riwazon se,
Sirf us ka hu yeh yakeen dilaue mai kaise,
Khoon-e-jigar maanga hota to samaj aata,
Dunia ki bhid se nikal ke mahlon mai basaun kaise,
Garib hona aaj jurm hai saayad dunia ki nazar mai,
Tabhi aaj mera pyar ruswa hai us kaatil ki nigah mai,
Khud ko RAM to us ko main SITA banaue kaise,
Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise,
Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise........
Baadal