Thursday, November 13, 2008

%%%Garib%%%

Toofan sine ka mai shaant karu kaise,

Suni suni aankho main naami laue mai kaise,


Chah.ta to tha mai bhi ki akela na rahu,

Lakin us kaatil ko apni zindgi mai laue kaise,


Zehar ban gaya hai aab to us ka naam mare liye,

Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise,


Wakif hu main dunia ke riti-riwazon se,

Sirf us ka hu yeh yakeen dilaue mai kaise,


Khoon-e-jigar maanga hota to samaj aata,

Dunia ki bhid se nikal ke mahlon mai basaun kaise,


Garib hona aaj jurm hai saayad dunia ki nazar mai,

Tabhi aaj mera pyar ruswa hai us kaatil ki nigah mai,


Khud ko RAM to us ko main SITA banaue kaise,

Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise,


Samaj nahi aata us ko Baadal ki Bijli banaue kaise........



Baadal

Post a Comment