Aaj bechain ho ke nikle kuch dur hum,
Fir dekh ke kuch akelapan wanhi baith gaye hum,
Thori hi der mai kuch bacche nazar aaye,
Intzaar wo kisi ka karte nazar hume aaye,
Bechaine thi un ki ankho mai besumaar,
Aur labo pe gaali bhi thi un ke lagataar,
Fir ek chota sa ladka wanha aaya,
Maila sa ek thaila kandhe pe laaya,
Aankho mai the us ke aanshu bahut,
Fir kamai na hone ki baat pe bahut jhalaaya,
Dane lage wo sabhi fir use santwana,
Fir baato baato main un ka chehra muskuraya,
Dur se aate hue ek ladka mujhe bhi dikha,
Sayad us ke haatho mai kuch tha aisa mujhe laga,
Jaise hi wo pass aaya sabne poocha late kanha hua,
Bagair bole wo jo laaya tha use kholne laga,
Ye dekh sab apne haath kapdo se pochne lage,
Aur utsuktawas us khulti polithin ko dekhne lage,
Us se nikle kuch rotian or kuch sabji,
Fir jaldi hi wo sab main batne lagi,
Kisi ko aadhi to kisi ko poori roti mili,
Lakin ye hakikat hai bhook kisi ki na miti,
Ye dekh mera man bahut bhar aaya,
Fir socha yeh mera desh hume kanha le aaya,
Sapno mai jeene or khelne ki hai jin ki ummar,
Chin ke un ka bachpan de di kon se dagaar,
Sochte hue mai or bechain ho gaya,
Gaya tha thora chain paane ke liye,
Baadal to apni ruh ko bhi lahu luhaan ker aaya,
Baadal to apni ruh ko bhi lahu luhaan ker aaya................
Baadal
Friday, November 21, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post a Comment