Wednesday, March 25, 2009

Sitam____________Baadal

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye,
Dur ja ke kaise wo wafa ki baat kare,

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye....

Nahi socha kiye kabhi rahe hum us ke bina,
Fir kyu aaj wo door rahne ki baat kare,

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye....

Kabhi na mitne di inn aankho se jhalak un ki,
Na jaane kyo fir wo nazaren churane ki baat kare, 

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye....

Har safar mai jinka haath thaam ke chale,
Wo aaj hum se saath churane ki hi baat kare,

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye....

Ki har chokhat pe dua hum ne sirf un ke liye,
Aur wo sadke mai aaj humari hi maut ki baat kare,

Pass aa ker jo sitam pe sitam hai kiye,
Dur ja ke kaise wo wafa ki baat kare...................



Baadal

Tuesday, March 17, 2009

Mehfil_____________Baadal

Tari mehfil mai ab samma,
Humare naam ki nahi jalegi,
Tari ruh or jism honge ghayel,
Lakin dawa humare naam ki nahi milegi,

Sajaya jhoot ka parda bahut,
Sajaya nakaab wafa ka bahut,
Jo sajayi maathe pe bindia tune,
Us ke chamak ab humari nahi milegi,

Labo pe thi jo muskurahat,
Chehre pe tha jo garoor,
Sajaye thi jo khun se maang humare,
Wo suni hi ab hamesha milegi,

Jhuka ke nazaren jo dikhaya,
Wafa nibhane ka tarika tera,
Har raah pe humari ab wo nazaren,
Tumhe khuli hi hamesha milengi,

Sajaya khud ko bahut tune,
Le ke humara naam mahfil main,
Ab har wo mehfil tujhe o bewafa,
Sirf be-rang hi hamesha milegi,

Katel kiya hai jo tune,
Sache ishq ka humare,
Ae sangdil be-wafa nasamaj,
Iss ki kimat ashqo mai tumhe milegi,

Tari mehfil mai ab samma,
Humare naam ki nahi jalegi,
Jo sajayi maathe pe bindia tune,
Us ke chamak ab humari nahi milegi,

Us ke chamak ab humari nahi milegi...........



Baadal

Saturday, March 14, 2009

नादानी_______________बादल

इंतिहा आज प्यार की सब हो गयी,
सच्चे प्यार की इज्जत आज खाक हो गयी,

कतल करने चला था आज खुद को लेकिन,
बेवफाई की सारी हदें आज पार हो गयी,

कर डाला खुद को रक्त रंजित मैंने,
और वो बेवफा मुस्कुराती चली गयी,

आँख भर आई देख उस हसीं लम्हे को,
जब वो मेरी खामोश निगाह को समझ ना पायी,

टूट गया सब गुमा सच्चे इश्क का,
जब बेवजह इल्जाम वो लगाती चली गयी,

साफ़ बचा गयी अपने दामन को अश्को से,
लेकिन हर जज्बात वो कुचलती चली गयी,

बेवफाई को अपनी वो मजबूरी बताती रही,
सर्म से लेकिन सर वो हमारा झुकाती गयी,

नहीं मालूम था इतना कठिन है रास्ता,
जो मासूक, आशिक को लहू से नहला गयी,

तड़पते रहे जिस्म और रूह मेरे लेकिन,
वो गलती नादानी की बता के चली गयी,

वो गलती नादानी की बता के चली गयी..........


बादल

Thursday, March 12, 2009

Saath___________________Baadal

Daga de de ke imtehaan wo humara late rahe,
Wafa hum karte rahe bewafa wo hote rahe,

Jhutlate rahe har juba ke sache sabd ko,
Khud lakin jhut ka pahaad wo banate rahe,

Latee rahe kasme humse bewafa na hone ki,
Wafadaar hone ki kasme wo kisi or ko dete rahe,

Hum mangte rahe KHUDA se us ka saath hamesha,
Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe,

Khof nahi khaya us ne us KHUDA ka bhi kabhi,
Wo har baat mai us KHUDA ki kasam khaate rahe,

Na jaane wo KHUDA bhi chup kyo raha hamesha,
Jab jab wo sir apna kisi or ke sine pe rakhte rahe,

Aaj dekh liya nazar bhar ke us ke bewafai ko,
Fir bhi nasamaj samaj ke hume wo jhute rote rahe,

Duhai di laakh humne apni wafadaari ki unhe,
Lakin fir bhi wo us KHUDA ka wasta dete rahe,

Na jaane kyo badal jaata hai insaan BAADAL
Kyo wo sach ko chor jhut ka saath dete rahe,

Daga de de ke imtehaan wo humara late rahe,
Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe,

Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe...............



Baadal