Thursday, March 12, 2009

Saath___________________Baadal

Daga de de ke imtehaan wo humara late rahe,
Wafa hum karte rahe bewafa wo hote rahe,

Jhutlate rahe har juba ke sache sabd ko,
Khud lakin jhut ka pahaad wo banate rahe,

Latee rahe kasme humse bewafa na hone ki,
Wafadaar hone ki kasme wo kisi or ko dete rahe,

Hum mangte rahe KHUDA se us ka saath hamesha,
Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe,

Khof nahi khaya us ne us KHUDA ka bhi kabhi,
Wo har baat mai us KHUDA ki kasam khaate rahe,

Na jaane wo KHUDA bhi chup kyo raha hamesha,
Jab jab wo sir apna kisi or ke sine pe rakhte rahe,

Aaj dekh liya nazar bhar ke us ke bewafai ko,
Fir bhi nasamaj samaj ke hume wo jhute rote rahe,

Duhai di laakh humne apni wafadaari ki unhe,
Lakin fir bhi wo us KHUDA ka wasta dete rahe,

Na jaane kyo badal jaata hai insaan BAADAL
Kyo wo sach ko chor jhut ka saath dete rahe,

Daga de de ke imtehaan wo humara late rahe,
Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe,

Saath lakin wo kisi or ka nibhate rahe...............



Baadal

Post a Comment